Kia hal hamara phuchty ho.Ansuwo mai nahaya karty hai
Jab yaad tumhari aati hai.Uth uth kar bhaya karty hai
Tery jany ky bad o sangdil.Apna to hal hua aisa
Chaag gareeba phirty hai.Aur pathar khaya karty hai
Subha saweary jab bhi kaga.Mundair pay a ky bolta hai
Tery aany ki umeedo py.Hum ghr ko sajaya karty hai
Hamari wafa ki inteha daikh.Nahi karty kisi ko sahreeq gham
Jab shaab firaaq hoti hai.Chiragho ko bujaya karty hai
Kabhi hoti nahi tareeqi.Qabro pay ehly mohabbat ki
Suna hai ky waha jugno.Deep jalaya karty hai
Mery dil ki duniya chor kar.Kab ka pardees ja basa Nasir
Magar tanhai mai is ky qehqahy.Ab talaq sataya karty hai...