Thursday 8 September 2016

Allama Iqbal - Haqeeqat-e-Husn

Haqeeqat e Husn By Allama Iqbal

Khuda se husn ne aik roz yeh sawal kia
Jahan main kue na mujhe tu ne lazawal kia

Mila jawan kh tasweer khana hai dunya
Shabe draz e adam ka fasana hai dunya

Huwi hai range taghaiar se jab namood is ki
Wahi haseen hai haqeeqat zawal is ki

Kaheen qareeb tha, yeh guftagu qamar ne suni
Falak pe aam huwi, akhtare sahar ne suni

Sahar ne tare se sun kar sunai shabnam ko
Falak ki baat bata di zameen ke mahram ko

Phir aaye phool k aansu payam e shabnam se
Kali ka nanha sa dil kon ho gaya gham se

Chaman se rota huwa mosam e bahar gaya
Shabab sair ko aya tha, sogwar gaya

Poet: Allama Iqbal

No comments:

Post a Comment