Yeh na thi hamari qismat kh wisal e yaar hota
Agar aur jeete rehte yehi intezar hota
Tere waade per jiye hum, to yeh jaan jhoot jana
Kh khushi se mar na jate ager itebar na hota?
Teri Nazuki se jana kh bandha tha ehde booda
Kabhi tu na tor sakta, ager astiwar hota
Koi mere dil se pooche tere teer neemkash ko
Yeh khalash kaha se hoti jo jigar ke paar hota
Yeh kaha ki dosti hai kh bane hain dost naasih
Koi chara saaz hota, koi ghamgsar hota
Rag sang se tapakta woh lahu kh phir na thamta
Jise gham samajh rahe ho yeh ager sharar hota
Gham ager musalsal hai, pa bacheen kahan kh dil hai
Gham ishq ager na hota gham rozgar hota
Kahu kis se me kh kia hai shabe gham buri bala hai
Mujhe kia bura tha marna, ager aik baar hota
Huwe mar ke hum jo ruswa, huwa kue na gharq darya
Na kabhi jinaza uthta, na kaheen mizar hota
Isse kon daikh sakta kh yagana hai woh yakta
Jo doi ki boo bhi hoti to kaheen do char hota
Yeh masail tasawaf, yeh tera bayan ghalib
Tujhe hum wali samajhte jo na badah khawar hota
Poet: Asadullah Khan Ghalib
No comments:
Post a Comment