Saturday 17 December 2016

Yeh Kia kh Sab Se Bayan Dil Ki Halatain Karni...


Yeh kia kh sab se bayan dil ki halatain karni...
Faraz tujh ko na aain Muhabbatain karni


Yeh qurb kia hai kh tu samne hai aur hame
Shumar abhi se judai ki sa'atain karni

Koi Khuda ho kh pathr kh jise hum bhi chahain
Tamam umar issi ki ibadatain karni

Sab apne apne qareene se muntizar os ke
Kisi ko shukr kisi ko shikayatain karni

Hum apne dil se hain majboor aur logon ko
Zara see baat pe barpa qayamatain karni

Milain jab un se to mubham si guftagu karna
Phir apne aap se so so wazahatain karni

Yeh log kese magar dushmani nibahte hain
Hamain to raas na aain Muhabbatain karni

Kabhi Faraz naye mosamon main ro dena
Kabhi talash purani raqabatain karni....







No comments:

Post a Comment