Mohabbat me koi farmaish na karna
Meri ghurbat ki phir numaish na karna
Jan to muskara kar dun ga agar chaho
Wafa ky nam par hijar azmaish na karna
Khuwabo ki tabeer he badal jati hai
Kabhi khuwabo ki khuwahish na karna
Ankho mai pani daikh kay jal na jai
Daikhna samandar ky qareeb rihaish na karna
Tu nahi pas magar hai dil mai mery shakir
In faslo ki kabhi paimaish na karna
No comments:
Post a Comment