Monday 5 September 2016

Parveen Shakir - Yoon Hosila Dil Ne Hara Kab Tha...

Yu hoslah dil ne hara kab tha
Sartan mera sitara kab tha

Lazim tha guzarna zindagi se
Bin zehar piye guzara kab tha

Kuch pal use aur daikh sakte
Ashkon ko magar gawarah kab tha

Hum khud bhi judai ka sabab thee
Us ka hi qasoor sara kab tha

Ab aur ke sath hai to kia dukh
Pehle bhi koi hamara kab tha

Ik naam pe zakham khul uthe the
Qatil ki taraf ishara kab tha

Aaye ho to roshni huwi hai
Is baam main koi tara kab tha

Daikha huwa ghar tha par kisi ne
Dulhan ki tarah sanwara kab tha

Poet: Parveen Shakir

No comments:

Post a Comment