Yeh zard patton ki barish mera zawal nahi
Mere badan pe kisi doosre ki shaal nahi
Udas ho aik fakhita chehekti huwe
Kisi ne qatal kia hai yeh inteqal nahi
Tamam umar gharibi main bawaqar rahe
Hamare ehad main aesi koi misal nahi
Me aasman ka toota huwa sitara hu
Kahan mili thi yeh dunya mujhe khayal nahi
Woh lashareek hai os ka koi shareek nahi
Woh bemisal hai os ki koi misal nahi
Koi khushi ho me apni hadon main rehta hu
Mera malal bhi had se sada malal nahi
Poet: Bashir Badr
No comments:
Post a Comment